31 Dec 2012 | By:

wo jis ke hone se zindagi naghma sarai ha


وہ جس کے ہونے سے زندگی نغمہ سرائی ھے

اسے کہنا کہ بھیگی جنوری _ پھر لوٹ آئی ھے
 

Chalo Aao K  DECEMBR
 Ko Rukhsat Karein,

Kuch Khushiyon Ko Sambhal Ker,

Kuch Aansu'on Ko Taal Ker,

Jo Lamhy Guzry Chahaton Mein,

Jo Pall Beety Rafakton Mein,

Kabhi Waqt K Saath Chalty Chalty,

Jo Thak K Ruky Raaston Mein,

Kabhi Khushiyon Ki Umeed Mili,

Kabhi Bichray Huon Ki Deed Mili,

Kabhi Be'Panah Muskura Diya,

Kabhi Hansty Hansty Ro Diya,

In Saary Lamhon Ko
 Ab Mukhtasir Karein,

Chalo Aao K DECEMBR
 Ko Rukhsat Karein.....!!!!

Ho Rahi Hai Har Taraf Naye SaaL Ki Baatein.....!!!

Ho Rahi Hai Har Taraf Naye SaaL Ki Baatein.....!!!

Wohi yaadein" Wohi Tanhayi" Naya To Kuch Bhi Nahi....!!!
Akele To Hum Pehle Bhi Jee Rahe The

Kyu Tanha-Se Ho Gaye Hai Tere Jane Ke Baad..
Na Jane Kia Ho Gia Hai Mere DIL Ko....

K Ab Khud Se Bhi BdGuman Sa Rahta Hai...

Yeh Khud-Farebii Nahin To Or Kiya Hay,,

Yeh Khud-Farebii Nahin To Or Kiya Hay,,
Main Sochti Hoon Tujhay Or Tujhay Khabar Bhi Nahin !

Wo Rooth Kar Bhi Mughe Muskra Kar Milta Hai !

Ye Rakh Rakhao Muhabbat Sikha Gayi Us Ko..,
Wo Rooth Kar Bhi Mughe Muskra Kar Milta Hai !

youn bhi khizaa ka roop

یوں بھی خزاں کا رُوپ سہانا لگا مجھے


ہر پھول فصلِ گُل میں پرانا لگا مجھے

میں کیا کسی پہ سنگ اُٹھانے کی سوچتا

اپنا ہی جسم آئینہ خانہ لگا مجھے

Apni manzil pe pohnch jana b kisi mojze se kam nahin,
raste pather k hain or humsafar sheeshe k...

Tumko De Di Hai Isharoo'n Mein Ijaazat Maine

Tumko De Di Hai Isharoo'n Mein Ijaazat Maine
Mangne Se Na Miloo'n Agar Toh Chura Lo Mujhko.

Wasal main Rung urr gaya mera

وصل میں رنگ اُڑ گیا میرا



کیا جدائی کو منہ دکھاؤں گا

dil k paas hain hum

یاد رکھو تو دل کے پاس ہیں ہم

بھول جاو تو ہیں فاصلے بہت
mai Fana ho gaya wo badla phir bhi nahi Faraaz
Mere chahat say bhi sachii the Nafrat us ki

ye kia k sab se byan dil ki halteen karni
faraz tujh ko na aain muhbateen karni
Mehfil Lagi Thi Bad’Duaon Ki, Hum Ne Bhi Dil se Kaha,

Usy Ishq Ho….! Usy Ishq Ho….! Usy Ishq Ho….!
28 Dec 2012 | By:

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy

Ek baar to milne chaly aao December jany wala hy
Kesa guzra hy ye sal batao December jany wala hy

Khush ho jao k milne ka saal aa raha hy phir
Wasi youn na ansu bahao December jany wala hy

Shahid ab k baras bhi wo Loat kar na aye
Tanhaiyo k abi chor k na jao December jany wala hy

Ye kia k raat din uski yaad mein doobay rehna
Na Gham ki barish me nahao December jany wala hy

Ay mere Dukhon k sathiyo khush ho jao
Apny apny Gharon ko sajao December jany wala hy

Kia pata phir DECEMBER aye na aye Jan-e-Wasi
Meri mano ab tm loat ao December jany wala hy
Chand Bhi Tanha, Raat Bhi Tanha, Aur Tanha Meri Zaat Hy,
Phr Toot Ke Wo Yaad Aaya Ajeeb December Ki Ye Raat Hy…

Is Qeht-e-Dosti mein koi mujh se kya miley,

Is Qeht-e-Dosti mein koi mujh se kya miley,
Khud apne aap ko bhi muyassar nahi hoon mein..

Koi jazba adhoora reh geya hai,

Koi jazba adhoora reh geya hai,
December aansu’on mein beh geya hai,

Yeh dil khamosh ho kar reh geya hai,
Najane aaj woh kya keh geya hai,

Yeh aannkhain hain hamari kitni gehri,
Samundar mein samundar beh geya hai,

Tumhare sath wabasta tha sab kuch,
Siwaye yaad ke kya reh geya hai,

Palat kar dekhne per hum ne jana,
Dil-e-nadaan kya kya seh geya hai,

Bohat bheerr hai bazaron mein lekin,
Tera Arshad akela reh geya hai..

Kabhi jo toot ke barsa December,

Kabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna, Bohat apna December,

Guzar jata hai sara saal yun to,
Nahin kat’ta magar tanha december,

Bhala barish say kia sairaab hoga,
Tumharay wasl ka piyasa december,

Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin,
Bus itna yaad hai ke tha December,

Jama poonji yehi hai umar bhar ki..
Meri tanhai aur Mera December!
Jo Mera Hai Mein Kisi Aur Ko Kiyoon Doon??
Mein Apni Mohabbat Mein Bachon Ki Tarah Hoon

Hum dua likhtay rehye wo Dagha parhtay rehye

Hum dua likhtay rehye wo Dagha parhtay rehye
Aik nuqtay nay Mehram say Mujrim bana dia
27 Dec 2012 | By:

Rabt dunia say barhnay ki zarorat kia hai

Rabt dunia say barhnay ki zarorat kia hai
tu mera hai to zamnay ki zarorat kia hai

image---56,57






ishq ki rahoun main do hi manzilian hain
ya dil main utar jaoo ya dil say utar jaoo
Muhabbat naam hai jis ka wo aisi Qaid hai yaroo
k omrian beet jati hain saza pori nahi hoti

image---55


Paoun pheelaye to phir na deekhi chadar ham nay

Paoun pheelaye to phir na deekhi chadar ham nay
tujh ko chaha to Auqaat say barh kar chaha
Tumhay bhoolian gay our wo bhi hum
ajeeb bhool hai wesay Tumhari

Jo Juda Karti Hai Mujh Ko Tumse,

Jo Juda Karti Hai Mujh Ko Tumse,
Hath Ki Bus Us Lakeer Se Darr Lagta Hai ...

Uski Aankhain Sawal Karti Hain,

Uski Aankhain Sawal Karti Hain,
Meri Himmat Jawab Daiti Haai..!
 
Baat Qismat Ki Hay Jo Judaa Ho Gaaye Hum, Warna,
Woh To Mujhy Apni Taqdeer Kaha Karta Tha.!
 

Zakham Lagta hai Jab Naya koi,

Zakham Lagta hai Jab Naya koi,
Yaad Aate hain chahane waale.!
 

Mere Chehre se mera Dard na Parh Pao ge, Wasi,

Mere Chehre se mera Dard na Parh Pao ge,  Wasi,
Meri Aadat hai har baat Pey Muskura dena..!
 

image---54



26 Dec 2012 | By:
نصیحت وہ سچی بات ہے جسے ہم کبھی غور سے نہیں سنتے اور خوشامد وہ بدترین دھوکہ ہے جسے ہم پوری توجہ سے سنتے ہیں
 
Main Logo’n Se Mulaqato’n K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon

Main Baatain Bhuul Bhi jaon
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
 Sar-e-Mehfil Nigahain Mujh Pe
Jin Logon Ki Parti Hyn

Nigahon k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon

Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwayat Se

K Jin Pe Bojh Main Daalon
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon .
 
Teri Nafrat Ney Ley Liya Mery Dil Ka Chain-o-Qarar..

Khuda Janey Kiya Hota Agar Tujhy Hum Sey Mohabat Hoti ♥

 
ji chahta hai usay muft main dil day doun
itnay masoom khareedar say kia leena deena

image---53


buhat peyaar say dia hai yeh Tohfa kisi nay

Mere Tanhaai ko mera shook na samjhna
buhat peyaar say dia hai yeh Tohfa kisi nay
doobi hoi khuloos mein jis ki nigah thi
mujh ko us ki chah thi aur be panah thi
24 Dec 2012 | By:

humesha dair kar deyta houn



ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں، ہر کام کرنے میں

 ضروری بات کہنی ہو کوئی وعدہ نبھانا ہو
... اسے آواز دینی ہو، اسے واپس بلانا ہو

 ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں
مدد کرنی ہو اس کی، یار کی ڈھارس بندھانا ہو
بہت دیرینہ رستوں پر کسی سے ملنے جانا ہو
بدلتے موسموں کی سیر میں دل کو لگانا ہو
کسی کو یاد رکھنا ہو، کسی کو بھول جانا ہو
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں
کسی کو موت سے پہلے کسی غم سے بچانا ہو
حقیقت اور تھی کچھ اس کو جا کے يہ بتانا ہو
ہمیشہ دیر کر دیتا ہوں میں

منیر نیازی
23 Dec 2012 | By:

Mujhe aansuon ki talab nahin zindagi ki talash hai

Mujhe aansuon ki talab nahin,
mujhe zindagi ki talash hai,
 Jisay dhoond kar bhi na pa saka,
 mujhe phir usi ki talash hai,
Muje dushmano mai na dhoondna,
muje doston me talashna,
mai mohabbaton ka aseer hoon,
muje dosti ki talash hai,
Meri rah-e-azm-e-talash mai,
 koi zindagi ka rafeeq ho,
 koi ansuon ka charagh de,
 muje roshni ki talash hai,
 Mai bulandion ka zameer hoon,
 mai rafaqton ka pazeer hon,
muje nafraton ki zamin par,
 DOSTON KI TALASH Hai ...


Jab Se Gaye Ho, Bikhar Giya Hoon.

Jab Se Gaye Ho, Bikhar Giya Hoon
Tum Nay Hi Mujhe Parow K Rakhta Tha



20 Dec 2012 | By:

mere taqdeer say chup kar mery ik baar ho jaoo

Mujhay maloom hai mera muqaddar tum nahi lekan
mere taqdeer say chup kar mery ik baar ho jaoo
 
 
 
 
 

19 Dec 2012 | By:
17 Dec 2012 | By:

Raah-e-Khaloos Sey Aana

Bohat Sey Raastay Aatay Hain Mere Dil Ki Taraf
 Raah-e-Khaloos Sey Aana Faasla Kam Paray Ga..!

dil k rastay


aik shakash is tarha mery dil main utaar gaya
jesay wo janta tha mery dil kay rastay 







15 Dec 2012 | By:

Hum Parda Nasheen Hain


Aatey Hain Khawabon Mein Khialon Mein Musalsal
Phir Hum Se Ye Kehtey Hain K Hum Parda Nasheen Hain



14 Dec 2012 | By:

Tere Ishq Mein Hum Ne Kiya Kiya Naa Dekha


Azziat, Museebat, Malamat, Ballain

Tere Ishq Mein Hum Ne Kiya Kiya Naa Dekha

Ekk Tujhe Hi To Bakhshi Hai Dil Ki Hakoomat

Kiss Nay Kaha Tujhey K Anjaan Bann K Aaya Karr

Mere Dill Kay Aainey Mein Mehmaan Bann K Aaya Karr

Pagal Ekk Tujhe Hi To Bakhshi Hai Dil Ki Hakoomat

Ye Teri Saltanat Hai Tu Sultan Ban K Aaya Karr





Naey Dinon Kay Naey Safar Main,


Naey Dinon Kay Naey Safar Main,
Khamosh Chup Chaap,
Kuch Na Kehti,
In Sa’atoon Nay,
Saomp Daly Naey Taqazay Rafaqatoon Kay,
Dehan Rakhna,
Kay Apnay Hissay K Sab Taqazay Nibahny Hain,
Sath Chalty Huay Safar Main,
Har Ik Dagar Main,
Chahatoon Kay Ghulab Likhna,
Waraq Waraq Aetmad Jis Main,
Kharaf Kharaf Main Ho Jan Nisari,
Nai Khushiyan, Naey Manazir,
Nai Manazir Naey Khawalay,
Bas Aik Aisi Hi Muhabbatoon Ki Kitab Likhna,
Naey Dinon Kay Naey Safar Main….

itaraaf


اعتراف


wo ghari bhi ishq main ai ...



aaj phir yaad koi choot porani ai



ٹھہری ٹھہری سی طبیعت میں روانی آئی



آج پھر یاد محبت کی کہانی آئی




آج پھر نیند کو آنکھوں سے بچھڑتے دیکھا



آج پھر یاد کوئی چوٹ پرانی آئی
..

dewanay mukamal khut nahi likhtay

اسے میں نے ہی لکھا تھا
کہ لہجے برف ہوجائیں
تو پھر پگھلا نہیں کرتے
پرندے ڈر کر اڑ جائیں
تو پھر لوٹا نہیں کرتے
یقیں اک بار اٹھ جائے
کبھی واپس نہیں آتا
ہواؤں کا کوئی طوفاں
بارش نہیں لاتا
اسے میں نے ہی لکھا تھا
جو شیشہ ٹوٹ جائے تو
کبھی پھر جڑ نہیں پاتا
جو رستے سے بھٹک جائیں
وہ واپس مڑ نہیں پاتا
اسے کہنا وہ بےمعنی ادھورا خط
اسے میں نے ہی لکھا تھا
اسے کہنا کہ دیوانے مکمل خط نہیں لکھتے


...!

wo ajnabi na ho


13 Dec 2012 | By:

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar

Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar





Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha
Main Jis Mein Rah Raha Tha Wahi Ghar Mera Na Tha

Main Jis Ko Ek Umr Sambhale Phira Kiya
Mitti Bata Rahi Wo Paikar Mera Na Tha

Mauj-E-Hawa-E-Shahar-E-Muqaddar Jawab De
Dariya Mere Na The K Samandar Mera Na Tha

Phir Bhi To Sangsar Kiya Ja Raha Hun Main
Kahte Hain Nam Tak Sar-E-Mahzar Mera Na Tha

Sab Log Apne Apne Qabilon K Sath The
Ek Main Hi Tha K Koi Bhi Lashkar Mera Na Tha
 

Mere Khudaa Mujhe Itanaa To.

Mere Khudaa Mujhe Itanaa To




Mere Khudaa Mujhe Itanaa To Mo'atabar Kar De
Mai.N Jis Makaan Me.N Rahataa Huu.N Us Ko Ghar Kar De

Ye Raushanii Ke Ta'aqub Me.N Bhaagataa Huaa Din
Jo Thak Gayaa Hai To Ab Is Ko Mukhtasar Kar De

Mai.N Zindagii Kii Duaa Maa.Ngane Lagaa Huu.N Bahut
Jo Ho Sake To Duaao.N Ko Beasar Kar De

Sitaaraa-E-Saharii Duubane Ko Aayaa Hai
Zaraa Ko_Ii Mere Suuraj Ko Baa-Khabar Kar De

Qabiilaa Vaar Kamaane.N Ka.Dakane Vaalii Hai.N
Mere Lahuu Kii Gavaahii Mujhe Nidar Kar De

Merii Zamii.N Meraa Aakhirii Havaalaa Hai
So Mai.N Rahuu.N Na Rahuu.N Us Ko Baaravar Kar De

Mai.N Apane Khvaab Se Kat Kar Jiyuu.N To Meraa Khudaa
Ujaa.D De Merii Mutthii Ko Dar-Ba-Dar Kar De

Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb

Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb





Zara Si Der Ko Aaye The Khaawb Aankhon Mei
Phir Us Ke Bad Musalsal Azaab Aankhon Mei

Wo Jis Ke Nam Ki Nisbat Se Raushani Tha Wujood
Khattak Rahaa Hai Wohi Aaftaab Aankhon Mei

Jinhen Mata-E-Dil-O-Jan Samajh Rahe The Ham
Wo Aa’iine Bhi Hue Behijaab Aankhon Mei

Ajab Tarah Ka Hai Mausam K Khak Urti Hai
Wo Din Bhi The K Khile The Gulaab Aankhon Mei

Mere Ghazaal Teri Wahshaton Ki Khair, K Hai
Bahut Dinon Se Bahut Iztaraab Aankhon Mei

Na Jane Kaisi Qayaamat Ka Peshkhema Hai
Ye Uljhanen Teri Be-Intasaab Aankhon Mei

Na Gubar Mein Na Gulab Mein

Na Gubar Mein Na Gulab Mein




Na Gubar Mein Na Gulab Mein Mujhe Dekhana
Mere Dard Ke Aab-O-Tab Mein Mujhe Dekhana

Kisi Waqt Sham Malal Mein Mujhe Sochana
Kabhi Apne Dil Ke Kitab Mein Mujhe Dekhana

Kisi Dhun Mein Tum Bhi Jo Bastiyon Ko Tyag Do
Isi Rah-E-Khanakharab Mein Mujhe Dekhana

Kisi Raat Mah-O-Najum Se Mujhe Puchana
Kabhi Apni Chashm Purab Mein Mujhe Dekhana

Isi Dil Se Ho Kar Guzar Gaye Kai Karavan
Ke Hijraton Ke Zab Mein Mujhe Dekhana

Main Na Mil Sakun Bhi To Kya Hua Ke Fasana Hun
Nai Dastan Naye Bab Mein Mujhe Dekhana

Mere Khar Khar Saval Mein Mujhe Dhundhana
Mere Geet Mein Mere Khwab Mein Mujhe Dekhana

Mere Aansuon Ne Bujhai Thi Meri Tashnagi
Isi Bargzida Sahab Mein Mujhe Dekhana

Wohi Ik Lamha Did Tha Ke Ruka Raha
Mere Roz-O-Shab Ke Hisab Mein Mujhe Dekhana

Jo Tadap Tujhe Kisi Aaine Mein Na Mil Sake
To Phir Aaine Ke Javab Mein Mujhe Dekhana

dil ko dha.Dakataa dekhuu.N


tu mera kuchh nahii.n lagata hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyo.n tere liye dil ko dha.Dakataa dekhuu.N
9 Dec 2012 | By:

Thaam ke Haath mera Tum Kabhi Mujhse rooth na Jaana..

Thaam ke Haath mera Tum Kabhi Mujhse rooth na Jaana..
Ho jaye Bhool mujhse To bus Us Bhool ko meri Bhool jana...!!
 

4 Dec 2012 | By:

Muqaddar by The fire

Muqaddar by The fire 



Pathar Tha, Magar Barf Kay Galoon Ki Tarah Tha
Woh Shakhs Andhairoon Main Ujaloon KI Tarah Tha
Khuwaboo Ki Tarah Tha, Na Khayalo Ki Tarah Tha
Woh ilm-e-Riyazi Kay Sawaloon Ki Tarah Tha
Uljha Hua Aisa, Kay Kabhi Khul Nahin Paaya
Suljha Hua Aisa, Kay Misaaloon Ki Tarah Tha
Woh Mil Tou Gaya, Liakin, Apna Bhi Muqaddar
Shatranj Ki Uljhii Hoyee, Chaloon Ki Tarah Tha!!!!








Frame--15


image--32


image--30,31