21 Mar 2013 | By:

tujhay naz hai tu haseen hai

tujhay naz hai tu haseen hai
tery gulistan ko zawal kaya;

mujhay fakhar hai , main ishq hoon 

jo jala na doon toh kamal kaya,

mujhay zindagi ki dua na day
 
mujhay zindagi ki talab nai

meri moat ko jo taal day
 
is zindagi ki majal kaya

hamain manziloon ki khabar nai
 
humain rehguzar ki tallaash hai..

is rehguzar pay nikal paray
 
toh arooj kaya aur zawal kaya

tery piyar main shikway gilay
 
tere in aadayoon pay mur chalay

jo hayaat thi tujhay war di 
ab sawal kaya or jawab kaya

0 comments:

Post a Comment